Sunday, August 23, 2015

Tere saath ek din bitana hai

Tere saath ek din bitana hai
Chura kar sabse kahin door le jaana hai
Mere pyaar se tera ta'arruff karwana hai
Tere saath ek din bitana hai

Baadalon ki sayr par jaana hai
Falak par baith duniya ka nazara dikhana hai
Teri har khwaish ko haqeeqat banana hai
Tere saath ek din bitana hai

Bana kar haathon se tujhe khilana hai
Tere bachpan ki hasi ko zara sa gudgudana hai
Kadmon mein dil nazrana bichana hai
Tere saath ek din bitana hai

Teri baaton ki dhun mein kho jaana hai
Teri ungliyon ke beech apni ungliyon ko fasana hai
Aur fir teri godd mein so jaana hai
Tere saath ek din bitana hai

No comments:

Post a Comment